Humdard ka Jawarish Jalinoos
Jawarish Jalinoos ek classical Unani medicine hai jiska kam hamari pachan Shakti ko behtar karna hai. Yah medicine hamari pachan kriya mein maujud purane se purane Dard ko khatm karne mein hamari madad karta hai.
Jawarish Jalinoos mein Dalay jaane wale main ingredients jatmanshi, Ginger , cinnamon, cardamom or Kulanjan hoti hai.
Jawarish Jalinus ke main benefits
Digestive disorders
Is aushadhi ka sabse bada kam hamari pachan kriya ko behtar karna aur usmein Pai jaane wali bahut sari purani bimariyon ko jad se khatm karna hai, isliye agar kisi Insan mein koi Purana maide ka dard kisi bhi tarah ka Ho to use vyakti ko Jawarish Jalinus presscribe karne se bahut jyada fayda hota hai.
Gastroesophageal reflux disease
Aksar dekha Gaya hai ki gastroesophageal reflux disease mein ek vyakti ki maide mein hydrochloric acid kafi Matra mein secret hota hai jiski vajah se maide mein bahut jyada Dard rahata hai.
Yah aushadhi us hydrochloric acid ke banne mein rukavat paida karta hai jiski vajah se uski secretion kam Ho jaati hai aur maide ka Dard धीरे-धीरे kam hona shuru ho jata hai.
Indigestion
Jin doston ko bad hazmi ki shikayat rahti hai agar vah niyamit taur se humdard ka Jawarish Jalinus istemal Karay to unki yah badhajmi khatm ho jayegi.
Stomach infection
Aajkal ke fast food ke Daur mein Aksar dekha gaya hai ki ham log jyadatar khana bahar khane ke aadi ho gaye hain jiski vajah se Aksar hamare stomach mein infection Ho jaati hai, use infection say chhutkare ke liye yah dava bahut jyada labhdayak hai.
Buy Jawarish Jalinus
Hamdard Jawarish Jalinoos ka istemal kab Karen
Stomach disorders
Yah dava hamare stomach mein paida hone wala hydrochloric acid ko regulate karta hai jiski vajah se Aksar maide ke dard ko khatm karne mein humko madad milati hai.
Isase ek fayda aur hota hai ki marij mein maujud heart burn aur Dard ki samasya khatm Ho jaati hai.
Yah dava stomach mucosa ko protect karke peptic erosion kay risk ko kafi had Tak kam karta hai.
Yah hamari bhookh ko badhane mein kafi sahayata karta hai aur hamare munh se aane wali badbu ko khatm karne mein hamari bahut jyada help karta hai.
Indigestion
Jawarish Jalinus ko ham digestion ko behtar banane aur abdominal distension ko kam karne ke liye istemal kar sakte hain iske alava khana khane ke bad Aksar hone wale bharipan ko dur karne mein yah hamari sahayata karta hai.
Dosto Jo khana ham khate Hain usmein maujud iron ko absorb karne meinJawarish Jalinus hamari kafi sahayata karta hai jiski vajah se anemia ka khatra kafi had Tak kam ho jata hai.
Yah dava hamari antriyon ki motility ko badhakar stool passage ke raste ko saaf karne mein hamari help karta hai, isliye agar patients mein constipation Ho to ham iska istemal kar saktay hain.
Piles mein iska istemal
Upar ham kah chuke hain ki yah dava kabj ko dur karne ke liye kafi labhdayak hoti hai yahi vajah hai ki yah piles mein paye jaane wale Dard ko kam karne mein hamari sahayata karta hai,
Urinary disorder
Jawarish Jalinus hamare urinary bladder aur hamari kidney ko takat dekar uski functioning ko kafi jyada improve karta hai jiski madad se unmen paye jaane wale kisi bhi tarah ke disorder ko dur karne mein hamari sahayata karta hai.
Ingredients of Jawarish Jalinus
Jatamansi /Balcharr
Yah jadi buti chot lagne ke bad kisi bhi tarah ki swelling ko kam karne ke liye jaani jaati hai, yah ek aisi Jadi buti hai jo microbes ko khatm karne ki takat rakhta hai.
Ginger
Yah jadi buti stomach ulcer ke treatment ke liye jaane jaate Hain, stomach mein maujud acidity ko khatm karne ke liye iska istemal Kiya jata hai.
Cinnamon
Yah jadi buti hamare stomach aur antriyon se gas ko bahar nikaalne ki takat rakhti hai, iske alava urin excretion ko improve karne ke liye yah hamari bahut help karta hai.
Cardamom
Yah jadi buti hamari bhookh Ko badhate hai aur hamaray digestive process ko improve karti hai.
Kulanjan
Kulanjan hamari body mein kisi bhi tarah ki fungal infection ko jad se khatm karne ki takat rakhti hai, iske alava hamare khoon mein maujud extra lipid ko kam karne ki takat rakhti hai jiski vajah se hamari body ka cholesterol level kam hokar ham तरह-तरह ki heart diseases se Bach sakte hain.
jawarish jalinoos formula
Nardostachys jatamansi/ Balcharr
Cinnamomum cassia/ Taj Qalmi
Elettaria cardamomum/ Elaichi Khurd
Cinnamomum zeylanicum/ Darchini
Myrtus caryophyllus/ Qaranfal
Alpinia galanga/ khulanjan
Cyperus rotundus/ Nagarmotha
Piper nigrum/ FilfilSiah
Zingiber officinale/ Zanjbil
Piper longum/ FilfilDaraz
Comiphora opobalsamum/ UdBalsan
Pistacia lentiscus/ Mastagi
Saussurea lappa/ Qust Shirin
Valeriana wallichii/ Asaroon
Swertia chirata/ Chiraita Shirin
Myrtus communis/ Tukhme Morid
Crocus sativus/ Zafran)
Sugar/ Qand Mel/ Shahed
Dosage
Is dava ko khana khane ke bad 5 gram halke garm Pani se istemal Karen.