- Amla ki Category / वर्ग
- Name / नाम
- Morphology / आकृति विज्ञान
- Parts in use / उपचार के लिए उपयोग में आने वाले भाग
- Temperament / स्वभाव
- Special benefit / मुख्य कार्य
- Other Functions / अन्य कार्य
- Uses / उपयोग
- Side effects / दुष्प्रभाव
- Correctives / सुधार
- Substitute / विकल्प
- Dosage / खुराक
- Chemical constituents / रासायनिक घटक
- Famous compounds / प्रसिद्ध यौगिक
Amla ki Category / वर्ग
Ye dawa podhun say nikalti hai.
Name / नाम
Botanical name | Emblica officinalis |
English name | Indian gooseberry |
Arabic name | أملا |
Hindi name | अमला |
Urdu Name | آملہ |
Farsi | آمله |
Morphology / आकृति विज्ञान
Ye ek darakht ka phal hai. Jis ka kad darmiyaana hota hai. Iske pate imli ke patton ki tarah hote hain. Jab ye phal kacche hotay hain tu rang mein haray hote hai.
Jab yahi phal pak jaate hain to rang badalkar kalay ho jaate hain. Amla ka size takriban limbu ke barabar hota hai, iska maza turush aur kasila hota hai. Amla ki bahar ki surface per dhariyan paye jaati hain.
Amla ko sukhne ke bad jab ham usko pani mein ubalte hain to unhi dariyon ki jagah se vah aasani se alag ho sakte hain .
Amla ko 2 tariko se istemal kar sakte hain
- Taza amla
- Khushk amla
Dawa ke taur par amla ka fal, chhal, pattay istmal kiye jatay hain.
Parts in use / उपचार के लिए उपयोग में आने वाले भाग
Dawa Ke Taur Par Amla Ka Fal, Chhal, Pattay Istmal Kiye Jatay Hain
Temperament / स्वभाव
Sard our Khusk dosray Darjay main.
Special benefit / मुख्य कार्य
Yah vital tonic hai (Hamare Dil, Dil dimag aur Jigar ko Tak deta hai) .Hamari Najar ko takat deta hai, Kabiz hone ki vajah se a Khoon ko Behnay se rokta hai.
Other Functions / अन्य कार्य
- Dil Ki kamjori
- Dimag ki kamjori
- Bhulne Ki Bimari
- Nazar ki kamzori Main iski murabba istemal Hote Hain.
- Mehandi ki kamjori
- Gas Banna
- Diarrhoea ki mukhtalif kismain
- Khooni bawaseer
- Khoon Ka Behna Jaisi Surat main amla ka powder ya joshandar istemal Kiya jata hai.
Uses / उपयोग
Ganjapan ya balon ke girne ki soorat mein amla ka zulal aur uska tail istemal main laya jata hai. Agar aap balun ko kala rakhna chahte hain ya fir un ko lamba karna chahte hain to amla ka zulal aur uska tail istemal main la saktay hain.
Side effects / दुष्प्रभाव
Kabz oor maspeshiyo mein dard paida karta hai.
Correctives / सुधार
Shehad or badam ka tel
Substitute / विकल्प
Halaila qabli
Dosage / खुराक
3-5 gram
Chemical constituents / रासायनिक घटक
- Gallic acid
- Tannin
- Vit C
- Iron
- Fixed Oil
- Essential oil
- Phosphatides
Famous compounds / प्रसिद्ध यौगिक
- Anoshdaru
- Jawarish Amla
- Jawarish Shahi
- Itrifilat
- Roghan Amla
- Jawarish Amla Ambri
- माजून दबीदुल वर्द के फायदे | Majun Dabidul ward Uses in Hindi
- Sharbat anar tursh शरबत अनार तुर्श के फायदे
- himalaya confido tablets benefits in hindi | हिमालया कॉन्फीडो टेबलेट
- Body fitness Kay liye Kon sa Home Gym Fitness Cycle Thek Rahayga?
- Burn injury mein aalu ka istemal. Aalu ke bare mein Puri jankari
[…] Aap ko ye pasand ayega […]
[…] Walnut / Akhrot / Junglans Regia / अखरोट / اخروٹ ki poori jankari Amla / Emblica officinalis / अमला / آملہ ki poori jankari […]